Aaj Aaraish-e-gesu-e-dota Hoti Hai
aaj aaraish-e-gesu-e-dota hoti hai
phir meri jaan giraftar-e-bala hoti hai
shauq-e-pa-bosi-e-jaanan mujhe baqi hai hanuz
ghas jo ugti hai turbat pe hina hoti hai
phir kisi kaam ka baqi nahin rahta insan
sach to ye hai ki mohabbat bhi bala hoti hai
jo zamin kucha-e-qatil mein nikalti hai nai
waqf wo bahr-e-mazar-e-shohada hoti hai
jis ne dekhi ho wo chitwan koi us se puchhe
jaan kyun-kar hadaf-e-tir-e-qaza hoti hai
naza ka waqt bura waqt hai KHaliq ki panah
hai wo saat ki qayamat se siwa hoti hai
ruh to ek taraf hoti hai ruKHsat tan se
aarzu ek taraf dil se juda hoti hai
KHud samajhta hun ki rone se bhala kya hasil
par karun kya yunhi taskin zara hoti hai
raundte phirte hain wo majma-e-aghyar ke sath
KHub tauqir-e-mazar-e-shohada hoti hai
murgh-e-bismil ki tarah loT gaya dil mera
nigah-e-naz ki tasir bhi kya hoti hai
nala kar lene den lillah na chheDen ahbab
zabt karta hun to taklif siwa hoti hai
jism to KHak mein mil jate hue dekhte hain
ruh kya jaane kidhar jati hai kya hoti hai
hun fareb-e-sitam-e-yar ka qail 'akbar'
marte marte na khula ye ki jafa hoti hai
(873) Peoples Rate This