Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e2c99617865ab5824c84aac4f03c016f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Tan Ghira Hua ChhoTe Se Ghar Mein Rahta Hai - Akbar Ali Khan Arshi Zadah Poetry In English - Darsaal

Ye Tan Ghira Hua ChhoTe Se Ghar Mein Rahta Hai

ye tan ghira hua chhoTe se ghar mein rahta hai

par apna man ki jo har dam safar mein rahta hai

dhanak ki tarah nikharta hai shab ko KHwabon mein

wahi jo din ko meri chashm-e-tar mein rahta hai

visal us ko likhun main ki hijr ka aaghaz

jo ek lamha musalsal nazar mein rahta hai

chalo wo hum nahin koi to hai zarur ki jo

sukun se saya-e-diwar-o-dar mein rahta hai

hai tang jis pe bahut wusat-e-zaban-o-bayan

wo harf ek nigah-e-muKHtasar mein rahta hai

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Tan Ghira Hua ChhoTe Se Ghar Mein Rahta Hai In English By Famous Poet Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Ye Tan Ghira Hua ChhoTe Se Ghar Mein Rahta Hai is written by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Read famous Poem Ye Tan Ghira Hua ChhoTe Se Ghar Mein Rahta Hai for youth and Student by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Free Download Ye Tan Ghira Hua ChhoTe Se Ghar Mein Rahta Hai in PDF.