Tumhaare Dil Ki Tarah Ye Zamin Tang Nahin

tumhaare dil ki tarah ye zamin tang nahin

KHuda ka shukr ki panw mein apne lang nahin

ajib us se talluq hai kya kaha jae

kuchh aisi sulh nahin hai kuchh aisi jang nahin

koi batao ki is aaine ka mol hai kya

jis aaine pe nishan-e-ghubar-o-zang nahin

mera junun hai kotah ya ye shahr-e-tabah

jo zaKHm-e-sar ke liye yan talash-e-sang nahin

hain sare qafila-salar sab hain rah-numa

ye kya safar hai jo koi kisi ke sang nahin

jo kuchh mata-e-hunar ho to samne lao

ki ye zamana-e-izhaar-e-nasl-o-rang nahin

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Dil Ki Tarah Ye Zamin Tang Nahin In English By Famous Poet Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Tumhaare Dil Ki Tarah Ye Zamin Tang Nahin is written by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Read famous Poem Tumhaare Dil Ki Tarah Ye Zamin Tang Nahin for youth and Student by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Free Download Tumhaare Dil Ki Tarah Ye Zamin Tang Nahin in PDF.