Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_550f320577677316dc0381d26fbccf48, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Husn Hi Ke Dam Se Hain Ye Kahaniyan Sari - Akbar Ali Khan Arshi Zadah Poetry In English - Darsaal

Husn Hi Ke Dam Se Hain Ye Kahaniyan Sari

husn hi ke dam se hain ye kahaniyan sari

ishq hi sikhata hai KHush-bayaniyan sari

KHwab aur KHushbu ko chahaton ke jadu ko

qaid kar ke dikhlaen pasbaniyan sari

dil ki dhaDkanon par hai inhisar-e-afsana

ek si nahin hotin naujawaniyan sari

ek tabassum-e-pinhan ek nigah-e-duzdida

aur phir kahani thin sar-giraniyan sari

yaad ban ke pahlu mein mausamon ke bistar par

karwaTen badalti hain mehrbaniyan sari

kya ginaen ab tum ko han saja ke rakkhi hain

hum ne goshe goshe mein wo nishaniyan sari

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Hi Ke Dam Se Hain Ye Kahaniyan Sari In English By Famous Poet Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Husn Hi Ke Dam Se Hain Ye Kahaniyan Sari is written by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Read famous Poem Husn Hi Ke Dam Se Hain Ye Kahaniyan Sari for youth and Student by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Free Download Husn Hi Ke Dam Se Hain Ye Kahaniyan Sari in PDF.