Kahan Hai Mera Hindostan
musalman aur hindu ki jaan
kahan hai mera hindostan
main us ko DhunDh raha hun
mere bachpan ka hindostan
na bangladesh na pakistan
meri aasha mera arman
wo pura pura hindostan
main us ko DhunDh raha hun
wo mera bachpan wo school
wo kachchi saDken uDti dhul
lahakte bagh mahakte phul
wo mere khet mere khaliyan
main us ko DhunDh raha hun
wo urdu ghazlen hindi git
kahin wo pyar kahin wo prit
pahaDi jharnon ke sangit
dehati lahra purbi tan
main us ko DhunDh raha hun
jahan ke krishn jahan ke ram
jahan ki sham saloni sham
jahan ki subh banaras dham
jahan bhagwan karen ashnan
main us ko DhunDh raha hun
jahan the 'tulsi' aur 'kabir'
'jaysi' jaise pir faqir
jahan the 'momin' 'ghaalib' 'mir'
jahan the 'rahman' aur 'rasKHan'
main us ko DhunDh raha hun
wo mere purkhon ki jagir
karachi lahore o kashmir
wo bilkul sher ki si taswir
wo pura pura hindostan
main us ko DhunDh raha hun
jahan ki pak pawitra zamin
jahan ki miTTi KHuld-nashin
jahan mahraj 'moinuddin'
gharib-nawaz hind sultan
main us ko DhunDh raha hun
mujhe hai wo leader taslim
jo de yak-jehti ki talim
miTa kar kumbon ki taqsim
jo kar de har qalib ek jaan
main us ko DhunDh raha hun
ye bhuka shair pyasa kawi
sisakta chand sulagta rawi
ho jis mudra mein aisi chhawi
kara de 'ajmal' ko jalpan
main us ko DhunDh raha hun
musalman aur hindu ki jaan
kahan hai mera hindostan
main us ko DhunDh raha hun
(1957) Peoples Rate This