Tere Siwa Kisi Ki Tamanna Karunga Main
tere siwa kisi ki tamanna karunga main
aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main
go gham aziz hai mujhe tere firaq ka
phir bhi is imtihan ka shikwa karunga main
aankhon ko ashk o KHun bhi faraham karunga main
dil ke liye bhi dard muhayya karunga main
rahat bhi ranj, ranj bhi rahat ho jab to phir
kya etibar-e-KHwahish-e-duniya karunga main
rakkha hai kya jahan mein ye aur baat hai
ye aur baat hai ki taqaza karunga main
ye rahguzar ki ja-e-qayam-e-qarar thi
yani ab us gali se bhi guzra karunga main
yani kuchh is tarah ki tujhe bhi KHabar na ho
is ehtiyat se tujhe dekha karunga main
hai dekhne ki chiz to ye iltifat bhi
dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main
hairan o dil-shikasta hun is haal-e-zar par
kab jaanta tha apna tamasha karunga main
han khinch lunga waqt ki zanjir panw se
ab ke bahaar aai to aisa karunga main
(1497) Peoples Rate This