Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bb66eed2aae3e13c4f31541f4b9f9ad3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nazar Aa Rahe Hain Jo Tanha Se Hum - Ajmal Siraj Poetry In English - Darsaal

Nazar Aa Rahe Hain Jo Tanha Se Hum

nazar aa rahe hain jo tanha se hum

so yun hai ki bhar pae duniya se hum

na parwa hamein haal-e-behaal ki

na sharminda umr-e-guzishta se hum

bhala koi karta hai murdon se baat

kahen kya dil-e-be-tamanna se hum

nazar mein hai jab se sarapa tera

jabhi se hain kuchh be-sar-o-pa se hum

koi jal-pari kya pari bhi na aai

magar KHush hue raat dariya se hum

tamashai shash-jihat hain so hain

KHud apne liye bhi tamasha se hum

samajhna tha duniya ko yun bhi muhaal

samajhte the duniya ko duniya se hum

(1252) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Aa Rahe Hain Jo Tanha Se Hum In English By Famous Poet Ajmal Siraj. Nazar Aa Rahe Hain Jo Tanha Se Hum is written by Ajmal Siraj. Read famous Poem Nazar Aa Rahe Hain Jo Tanha Se Hum for youth and Student by Ajmal Siraj. Free Download Nazar Aa Rahe Hain Jo Tanha Se Hum in PDF.