Na Nazar Se Koi Guzar Saka Na Hi Dil Se Malba HaTa Saka
na nazar se koi guzar saka na hi dil se malba haTa saka
na wo dar bacha na wo ghar bacha tere baad koi na aa saka
na wo his kisi mein na tab hai mera gham to KHair uThae kaun
wo jo misra gham ka tha tarjuman koi us ko bhi na uTha saka
kabhi KHauf tha tere hijr ka kabhi aarzu ke zawal ka
raha hijr-o-wasl ke darmiyan tujhe kho saka na main pa saka
mere dil mein tuKHm-e-yaqin rakh de lachak tu shaKH-e-mizaj ko
wo chaman khila mere baghban jo chaman koi na khila saka
mere sath su-e-junun chal mere zaKHm kha mera raqs kar
mere sher paDh ke milega kya pata paDh ke ghar koi pa saka?
jo likho ibarat-e-ishq tum to ana ka koi na pech ho
jo lab-e-dawat pe jhuk gaya wo qalam hi naqsh bana saka
(930) Peoples Rate This