Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ed86d9e2d83b5114c75898aa043b9eab, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai - Ajmal Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai

khul ke barasna aur baras kar phir khul jaana dekha hai

hum se puchho!! un aankhon ka ek zamana dekha hai

tum ne kaise man liya wo thak kar baiTh gaya hoga

tum ne to KHud apni aankhon se wo diwana dekha hai

manzil tak pahunchen ki na pahunchen rah magar apni hogi

tu rahne de waiz tera rah batana dekha hai

dhul ka ek zarra na uDe aawaz kare parchhain bhi

maut bhi aa kar marti nahin thi wo virana dekha hai

gulshan se hum sikh na pae waqti KHushiyon ko jina

jabki hum ne fasl-e-gul ka aana jaana dekha hai

dil to sada hai teri har baat ko sachcha manta hai

aql ne baaten karte tera aankh churana dekha hai

lafz dawa hai lekin is ke sath hi kuchh parhez bhi hai

lafz ke bais pal mein khona pal mein pana dekha hai

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai In English By Famous Poet Ajmal Siddiqi. Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai is written by Ajmal Siddiqi. Read famous Poem Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai for youth and Student by Ajmal Siddiqi. Free Download Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai in PDF.