Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_55a6e88195813f02c85c8f728b0c09d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHat Jo Tere Nam Likha, Takiye Ke Niche Rakhta Hun - Ajmal Siddiqi Poetry In English - Darsaal

KHat Jo Tere Nam Likha, Takiye Ke Niche Rakhta Hun

KHat jo tere nam likha, takiye ke niche rakhta hun

jaane kis ummid pe ye tawiz daba ke rakhta hun

taki ek ek lafz mere lahje mein tujh se baat kare

KHat ke har har lafz ko KHat par KHub paDha ke rakhta hun

aas pe teri bikhra deta hun kamre ki sab chizen

aas bikharne par sab chizen KHud hi uTha ke rakhta hun

ek zara sa dard mila aur kaghaz kale kar Dale

ek zara se hijr pe ek hangama macha ke rakhta hun

ambar, mushkin, ruh-e-bahaaran jaan-faza o mauj-e-bahisht

ek teri nisbat se kya kya nam saba ke rakhta hun

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHat Jo Tere Nam Likha, Takiye Ke Niche Rakhta Hun In English By Famous Poet Ajmal Siddiqi. KHat Jo Tere Nam Likha, Takiye Ke Niche Rakhta Hun is written by Ajmal Siddiqi. Read famous Poem KHat Jo Tere Nam Likha, Takiye Ke Niche Rakhta Hun for youth and Student by Ajmal Siddiqi. Free Download KHat Jo Tere Nam Likha, Takiye Ke Niche Rakhta Hun in PDF.