Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1c3218f441a62b493a39e63da9dfcbb0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har GhaDi Rahta Hai Ab KHadsha Mujhe - Ajmal Ajmali Poetry In English - Darsaal

Har GhaDi Rahta Hai Ab KHadsha Mujhe

har ghaDi rahta hai ab KHadsha mujhe

pi na jae waqt ka dariya mujhe

go haqiqat tha magar ai zindagi

KHwab sa tu ne sada dekha mujhe

jab bhi milta hun wahi chehra liye

bad-dua deta hai aaina mujhe

chhoD aaya hun sulagti ret mein

jaane kya kahta ho naqsh-e-pa mujhe

us ke dil mein KHud wafa na-paid thi

dosti ki bhik kya deta mujhe

Dubti bujhti hui aawaz hun

sath walo ghaur se sunna mujhe

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har GhaDi Rahta Hai Ab KHadsha Mujhe In English By Famous Poet Ajmal Ajmali. Har GhaDi Rahta Hai Ab KHadsha Mujhe is written by Ajmal Ajmali. Read famous Poem Har GhaDi Rahta Hai Ab KHadsha Mujhe for youth and Student by Ajmal Ajmali. Free Download Har GhaDi Rahta Hai Ab KHadsha Mujhe in PDF.