Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_52c3d6b2639abd33b0f0bb1feac8bc26, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Do Pal Ke Hain Ye Sab Mah O AKHtar Na Bhulna - Ajmal Ajmali Poetry In English - Darsaal

Do Pal Ke Hain Ye Sab Mah O AKHtar Na Bhulna

do pal ke hain ye sab mah o aKHtar na bhulna

suraj ghurub hone ka manzar na bhulna

kitni tawil kyun na ho baatil ki zindagi

har raat ka hai subh muqaddar na bhulna

yaadon ke phul ghar se uTha kar chale to ho

dekho inhen kisi jagah rakh kar na bhulna

man ne likha hai KHat mein jahan jao KHush raho

mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulna

haq par agar chaloge to har aaDe waqt mein

tum ko panah degi ye chadar na bhulna

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Do Pal Ke Hain Ye Sab Mah O AKHtar Na Bhulna In English By Famous Poet Ajmal Ajmali. Do Pal Ke Hain Ye Sab Mah O AKHtar Na Bhulna is written by Ajmal Ajmali. Read famous Poem Do Pal Ke Hain Ye Sab Mah O AKHtar Na Bhulna for youth and Student by Ajmal Ajmali. Free Download Do Pal Ke Hain Ye Sab Mah O AKHtar Na Bhulna in PDF.