Ai Husn Jab Se Raaz Tera Pa Gae Hain Hum
ai husn jab se raaz tera pa gae hain hum
hasti se apni aur qarib aa gae hain hum
yun bhi hua ki jaan ganwa di tere liye
yun bhi hua ki tujh se bhi katra gae hain hum
rah-e-wafa mein aise maqamat bhi mile
apna sar-e-niyaz bhi Thukra gae hain hum
yaadash-ba-KHair ek gul-e-shadab the kabhi
aisi KHizan paDi hai ki kumhla gae hain hum
subh-e-visal thi to tabiat thi bagh bagh
sham-e-firaq aai to sanwla gae hain hum
insan teri fath pe ab bhi yaqin hai
go apni zindagi se bhi ghabra gae hain hum
mahrumiyon ka bar-e-giran dosh par liye
ai maut sun ki tere qarib aa gae hain hum
apne subu mein talKHi-e-dauran sameT kar
ba-sad-KHulus nosh bhi farma gae hain hum
tariKH-e-inqilab-e-zamana se puchh lo
jab jab sada mili sar-e-dar aa gae hain hum
'ajmal' jab un ki bazm mein chheDi hai dil ki baat
apne to KHair ghair ko taDpa gae hain hum
(866) Peoples Rate This