Aazar Bahut Lazzat-e-azar Bahut Hai
aazar bahut lazzat-e-azar bahut hai
dil dast-e-sitam-gar ka talabgar bahut hai
iqrar ki manzil bhi zarur aaegi ek din
is waqt to bas lazzat-e-inkar bahut hai
yaran-e-safar koi dawa DhunD ke lao
insan mere daur ka bimar bahut hai
han dekhiyo irfan-e-baghawat na jhulas jae
manzar meri duniya ka sharar-bar bahut hai
hum ghar ki panahon se jo nikle to ye jaana
hangama pas-e-saya-e-diwar bahut hai
qatil ki inayat ka maza aur hai warna
jaan lene ko ye sans ki talwar bahut hai
kya log hain ye soch ke baiThe hun gharon mein
bas zulm se be-zari ka izhaar bahut hai
haalat-e-zamana se laraz jate hain 'ajmal'
yun hai ki zamane se hamein pyar bahut hai
(759) Peoples Rate This