Yun Tujhse Dur Dur Rahun Ye Saza Na De
yun tujh se dur dur rahun ye saza na de
ab aur zinda rahne ki mujh ko dua na de
ab ehtiyat-e-shiddat-e-girya na puchhiye
Darta hun main wo sun ke kahin muskura na de
lo main ne dil ki us se lagai to hai magar
Dar hai ye sham-e-gham kahin daman jala na de
kahna to hai mujhe bhi hadis-e-gham-e-hayat
lab kholne ki kash ijazat zamana de
ho bijliyon ka mujh se jahan par muqabla
ya-rab wahin chaman mein mujhe aashiyana de
us dene wale ke yahan kis shai ki hai kami
tum mangne ki tarah jo mango to kya na de
hassas main bahut hun na lag jae dil ko Thes
mahfil mein muskura ke mujhe yun sada na de
main aashna-e-dard-o-gham-e-dil hun chaara-gar
jis se ifaqa ho mujhe aisi dawa na de
'ajiz' tamam umr main khata raha fareb
mujh ko meri wafaon ka aisa sila na de
(901) Peoples Rate This