Hangama Kyun Bapa Hai Zara Baam Par Se Dekh

hangama kyun bapa hai zara baam par se dekh

shole buland hote hain ye kis ke ghar se dekh

bikhren na ye zamin pe kahin chashm-e-tar se dekh

palkon tak aa gae hain jo chal kar jigar se dekh

ai dost pairwi-e-kalimana hai abas

jalwon ko us ke tu nigah-e-motabar se dekh

yun sar uTha ke dekh na tu jaanib-e-falak

ye taj-e-tamkanat na gire tere sar se dekh

is tarah hai ghamon ko mere dil se rasm-o-rah

jis tarah rabt rakhte hain sae shajar ke dekh

apni nazar se dekh tahi-dasti-e-sadaf

dariya ka zarf kya hai ye chashm-e-guhar se dekh

insan hadsat se kitna qarib hai

tu bhi zara nikal ke kabhi apne ghar se dekh

'ajiz' ye qaul apne buzurgon ka yaad rakh

rasta kabhi na chhoDna dushman ke Dar se dekh

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hangama Kyun Bapa Hai Zara Baam Par Se Dekh In English By Famous Poet Ajiz Matvi. Hangama Kyun Bapa Hai Zara Baam Par Se Dekh is written by Ajiz Matvi. Read famous Poem Hangama Kyun Bapa Hai Zara Baam Par Se Dekh for youth and Student by Ajiz Matvi. Free Download Hangama Kyun Bapa Hai Zara Baam Par Se Dekh in PDF.