Dard-e-musalsal Se Aahon Mein Paida Wo Tasir Hui
dard-e-musalsal se aahon mein paida wo tasir hui
aksar chaaragaron ki haalat mujh se siwa gambhir hui
kya jaane kyun mujh se meri bargashta taqdir hui
mamlikat-e-aish aankh jhapakte hi gham ki jagir hui
us ne mere shisha-e-dil ko dekh ke kyun munh moD liya
shayad is aaine mein us ko zahir koi lakir hui
jab bhi likkha haal-e-dil-e-muztar main ne us ko raat gae
ta-ba-sahar ashk-afshani se zaea wo tahrir hui
baDhti jati hai duri-e-manzil jab se junun ne chhoDa sath
ab to KHirad har gam par apne pairon ki zanjir hui
mujh ko ata karte wo yaqinan meri talab se siwa lekin
KHuddari mein hath na phaila sharm jo daman-gir hui
kis ko KHabar hai un ki gali mein kitne dilon ka KHun hua
ranai mein un ki gali jab wadi-e-kashmir hui
un se karun izhaar-e-tamanna socha rakh kar uzr-e-junun
lekin wo bhi ras na aaya la-hasil tadbir hui
Tap-Tap aankh se aansu Tapke 'ajiz' aah-e-sard ke sath
mere samne nazr-e-atish jab meri taswir hui
(827) Peoples Rate This