MuKhaalif Aandhiyon Mein Azm Ke Dipak Jalata Hun
muKHalif aandhiyon mein azm ke dipak jalata hun
kabhi jab waqt paDta hai to KHud ko aazmata hun
main shahzada hawa ka hun KHala meri riyasat hai
kabhi main uDte uDte aasman ko phand jata hun
kabhi main ret hi se khelta rahta hun bachchon sa
kabhi main zat ke gahre samundar mein nahata hun
kabhi be-KHud paDa rahta hun main parda-nashin ho kar
kabhi fitrat ke ek ek raaz se parde uThata hun
kabhi ehsas ka ek KHar chubh jae to ro uTThun
kabhi main dar ke taKHte pe chaDh kar muskuraata hun
kabhi main rote rote hans diya karta hun pagal sa
kabhi main hanste hanste aansuon se bhig jata hun
kabhi main be-his-o-harakat paDa rahta hun pahron tak
kabhi main zindagi ke saz par naghme sunata hun
kabhi zarKHez dharti ko bhi KHatir mein nahin lata
kabhi banjar zamin mein aas ke paude lagata hun
main ek qatra hun lekin ab samundar ban gaya samho
main ek naddi se mil kar su-e-manzil bhaga jata hun
meri fitrat ajab hai aaj tak main bhi nahin samjha
wo jin ke par nahin hote unhen uDna sikhata hun
main gahre paniyon ko chir deta hun magar 'hasrat'
jahan pani bahut kam ho wahan main Dub jata hun
(904) Peoples Rate This