Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2bf4e7aa1fcbf9490d4c89b1769fd60f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Mera Ghar Bahisht Si Gul-wadiyon Mein Tha - Ajeet Singh Hasrat Poetry In English - Darsaal

Jab Mera Ghar Bahisht Si Gul-wadiyon Mein Tha

jab mera ghar bahisht si gul-wadiyon mein tha

us waqt main ghira hua shahzadiyon mein tha

wo din hawa hue wo zamane guzar gae

bande ka jab qayam pari-zadiyon mein tha

yak bar jo ujaD gae baste hue nagar

lagta hai koi bhut bhi in wadiyon mein tha

baiTha tha jis pe main ne wahi shaKH kaT di

KHud mera hath hi meri barbaadiyon mein tha

sad shukr hai ki mujh pe nigah-e-karam paDi

kab se udas baiTha main fariyaadiyon mein tha

apne banae jal mein KHud phans ke rah gaya

masruf mera yar jo ustadiyon mein tha

'hasrat' zara si bhul hamein qaid kar gai

wo lutf ab kahan hai jo aazadiyon mein tha

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Mera Ghar Bahisht Si Gul-wadiyon Mein Tha In English By Famous Poet Ajeet Singh Hasrat. Jab Mera Ghar Bahisht Si Gul-wadiyon Mein Tha is written by Ajeet Singh Hasrat. Read famous Poem Jab Mera Ghar Bahisht Si Gul-wadiyon Mein Tha for youth and Student by Ajeet Singh Hasrat. Free Download Jab Mera Ghar Bahisht Si Gul-wadiyon Mein Tha in PDF.