Dhuan Sifat Hun KHalaon Ka Hai Safar Mujhko
dhuan sifat hun KHalaon ka hai safar mujh ko
uDa rahi hain hawaen idhar udhar mujh ko
main us ki aankh se gir kar wajud kho baiTha
wo DhunDhta hai bhala kyun Dagar Dagar mujh ko
jawan hon hausle jis ke wo mere sath chale
kaDakti dhup mein sahra ka hai safar mujh ko
badan ko chhoD ke teri talash mein nikla
na rok paenge raste mein bahr-o-bar mujh ko
abhi kuchh aur teri justuju rulaegi
abhi kuchh aur bhaTakna hai dar-ba-dar mujh ko
wo shoKH shoKH si panhaariyan kidhar ko gain
udas kar gai panghaT ki rahguzar mujh ko
junun ke adna ishaare pe chaunk jata hun
KHirad ki baat ka hota nahin asar mujh ko
main aasman ki bulandi ko raund aaya hun
zamin walon ne samjha shikasta-par mujh ko
usi ne yaad dilai hai aaj gautam ki
rishi laga hai ye sukha hua shajar mujh ko
miTa rahe hain mujhe mere qari-o-naqid
kisi ne samjha kahan harf-e-mo'tabar mujh ko
main apne waqt ka mansur bhi nahin 'hasrat'
ye log kis liye lae hain dar par mujh ko
(845) Peoples Rate This