Yun Hi Har Baat Pe Hansne Ka Bahana Aae
yun hi har baat pe hansne ka bahana aae
phir wo masum sa bachpan ka zamana aae
kash lauTen mere papa bhi khilaune le kar
kash phir se mere hathon mein KHazana aae
kash duniya ki bhi fitrat ho meri man jaisi
jab main bin baat ke ruThun to manana aae
hum ko qudrat hi sikha deti hai kitni baaten
kash ustadon ko qudrat sa paDhana aae
aah sahsa kabhi school se chhuTTi jo mile
chiKH kar bachchon ka wo shor machana aae
aaj bachpan kahin baston mein hi uljha hai 'sahab'
phir wo titli ko pakaDna wo uDana aae
(1780) Peoples Rate This