Wahi Hain Qatl-o-ghaarat Aur Wahi Kohram Hai Saqi
wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi
tamaddun aur mazhab ki ye KHuni sham hai saqi
kalam-e-fan mera ab tak nihan hai aise duniya se
ki jyun abdulhai mein ek alif gumnam hai saqi
meri gang-o-jaman tahzib ki duKHtar hai ye urdu
ise muslim banane ki ye sazish aam hai saqi
karenge amn ki baaten dilon mein bughz rakkhenge
yahi rasm-e-jahan aur fitrat-e-aqwam hai saqi
qad-a-shair ke badle dekhiye meayar sheron ka
faqat itna meri ghazlon ka ye paigham hai saqi
aruz-o-ilm ki talim mujh ko kab rahi hasil
mera ustad to bas ye gham-e-ayyam hai saqi
wahi ghaalib hai ab to jo KHaride shohraten apni
rubai bechne wala umar-'KHayyam' hai saqi
ye ghazlen ghaib se nazil nahin ashkon ka hasil hain
mera ye dard hi sab se baDa ilham hai saqi
(820) Peoples Rate This