Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_48d0c3e34cb25eb48ebae4b80257f54c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Andar Jo Ek Faqiri Hai - Ajay Sahaab Poetry In English - Darsaal

Mere Andar Jo Ek Faqiri Hai

mere andar jo ek faqiri hai

ye hi sab se baDi amiri hai

kuchh nahin hai magar sabhi kuchh hai

dekh kaisi jahan-giri hai

pankhuDi ek gulab ke jaisi

mere sheron mein aisi meri hai

sher kahta hai bech deta hai

tujhmen kaisi ye la-zamiri hai

tujh se rishta kabhi nahin suljha

us ki fitrat hi kashmiri hai

ruh aur jism surKH hain KHun se

phir bhi ye pairahan hariri hai

(909) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Mere Andar Jo Ek Faqiri Hai In English By Famous Poet Ajay Sahaab. Mere Andar Jo Ek Faqiri Hai is written by Ajay Sahaab. Read famous Poem Mere Andar Jo Ek Faqiri Hai for youth and Student by Ajay Sahaab. Free Download Mere Andar Jo Ek Faqiri Hai in PDF.