Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_669f633a431303c713b4ee740326ca99, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Laga Ke DhaDkan Mein Aag Meri Ba-rang-e-raqs-e-sharar Gaya Wo - Ajay Sahaab Poetry In English - Darsaal

Laga Ke DhaDkan Mein Aag Meri Ba-rang-e-raqs-e-sharar Gaya Wo

laga ke dhaDkan mein aag meri ba-rang-e-raqs-e-sharar gaya wo

mujhe bana ke sulagta sahra mere jahan se guzar gaya wo

yun nind se kyun mujhe jaga kar charagh-e-ummid phir jala kar

hui sahar to use bujha kar hawa ke jaisa guzar gaya wo

wo ret par ek nishan jaisa tha mom ke ek makan jaisa

baDa sambhal kar chhua tha main ne pa ek pal mein bikhar gaya wo

wo sath mere tha jaise har pal wo dekhta tha mujhe musalsal

zara sa mausam badal gaya to chura ke mujh se nazar gaya wo

wo ek bichhDe se mit jaisa wo ek bhulae se git jaisa

koi purani si dhun jaga kar wajud-o-dil mein utar gaya wo

wo dost sare the chaar pal ke jo chal diye ham-safar badal ke

'sahab'-e-nadan wahin khaDa hai usi Dagar par Thahar gaya wo

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laga Ke DhaDkan Mein Aag Meri Ba-rang-e-raqs-e-sharar Gaya Wo In English By Famous Poet Ajay Sahaab. Laga Ke DhaDkan Mein Aag Meri Ba-rang-e-raqs-e-sharar Gaya Wo is written by Ajay Sahaab. Read famous Poem Laga Ke DhaDkan Mein Aag Meri Ba-rang-e-raqs-e-sharar Gaya Wo for youth and Student by Ajay Sahaab. Free Download Laga Ke DhaDkan Mein Aag Meri Ba-rang-e-raqs-e-sharar Gaya Wo in PDF.