Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4ba1c32d0ab12c1ccb529b4a100df588, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Bhi Milte Hain To Jine Ki Dua Dete Hain - Ajay Sahaab Poetry In English - Darsaal

Jab Bhi Milte Hain To Jine Ki Dua Dete Hain

jab bhi milte hain to jine ki dua dete hain

jaane kis baat ki wo hum ko saza dete hain

hadse jaan to lete hain magar sach ye hai

hadse hi hamein jina bhi sikha dete hain

raat aai to taDapte hain charaghon ke liye

subh hote hi jise log bujha dete hain

hosh mein ho ke bhi saqi ka bharam rakhne ko

laDkhaDane ki hum afwah uDa dete hain

kyun na lauTe wo udasi ka musafir yaro

zaKHm sine ke use rose sada dete hain

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Milte Hain To Jine Ki Dua Dete Hain In English By Famous Poet Ajay Sahaab. Jab Bhi Milte Hain To Jine Ki Dua Dete Hain is written by Ajay Sahaab. Read famous Poem Jab Bhi Milte Hain To Jine Ki Dua Dete Hain for youth and Student by Ajay Sahaab. Free Download Jab Bhi Milte Hain To Jine Ki Dua Dete Hain in PDF.