ZaKHmon Ka Do-shaala Pahna Dhup Ko Sar Par Tan Liya
zaKHmon ka do-shaala pahna dhup ko sar par tan liya
kya kya hum ne khashT kamae kahan kahan nirwan liya
naqsh diye teri aashaon ko aks diye tere sapnon ko
lekin dekh hamari haalat waqt ne kya tawan liya
ashkon mein hum gundh chuke the us ke lams ki KHushbu ko
mom ke phul banane baiThe lekin dhup ne aan liya
barson baad hamein dekha to pahron us ne baat na ki
kuchh to gard-e-safar se bhanpa kuchh aankhon se jaan liya
aankh pe hat dhare phirte the lekin shahr ke logon ne
us ki baaten chheD ke hum ko lahje se pahchan liya
suraj suraj khel rahe the 'sajid' hum kal us ke sath
ek ek qaus-e-quzah se guzre ek ek baadal chhan liya
(1088) Peoples Rate This