Wo Pahli Jaisi Wahshaten Wo Haal Hi Nahin Raha
wo pahli jaisi wahshaten wo haal hi nahin raha
ki ab to shauq rahat-e-visal hi nahin raha
tamam hasraten har ek sawal dafn kar chuke
hamare pas ab koi sawal hi nahin raha
talash-e-rizq mein ye sham is tarah guzar gai
koi hai apna muntazir KHayal hi nahin raha
in aate jate roz-o-shab ki gardishon ko dekh kar
kisi ke hijr ka koi malal hi nahin raha
hamara kya banega kuchh na kuchh to is pe sochte
magar kabhi hamein gham-e-maal hi nahin raha
tumhaare KHal-o-KHad pe ek kitab likh rahe the hum
magar tumhaara husn be-misal hi nahin raha
sanwarta nikhaarta main kaise apne aap ko
tumhaare baad apna kuchh KHayal hi nahin raha
zara si baat se dilon mein itna farq aa gaya
talluqat ka to phir sawal hi nahin raha
(1163) Peoples Rate This