Tumhein KHayal-e-zat Hai Shuur-e-zat Hi Nahin
tumhein KHayal-e-zat hai shuur-e-zat hi nahin
KHata muaf ye tumhaare bas ki baat hi nahin
ghazal faza bhi DhunDti hai apne KHas rang ki
hamara masala faqat qalam dawat hi nahin
hamari saaton ke hissa-dar aur log hain
hamare samne faqat hamari zat hi nahin
waraq waraq pe Diary mein aansuon ka nam bhi hai
ye sirf barishon se bhige kaghzat hi nahin
kahaniyon ka rup de ke hum jinhen suna saken
hamari zindagi mein aise waqiat hi nahin
kisi ka nam aa gaya tha yunhi darmiyan mein
ab is ka zikr kya karen jab aisi baat hi nahin
(1686) Peoples Rate This