Tilism-zar-e-shab-e-mah Mein Guzar Jae
tilism-zar-e-shab-e-mah mein guzar jae
ab itni raat gae kaun apne ghar jae
ajab nasha hai tere qurb mein ki ji chahe
ye zindagi teri aaghosh mein guzar jae
main tere jism mein kuchh is tarah sama jaun
ki tera lams meri ruh mein utar jae
misal-e-barg-e-KHizan hai hawa ki zad pe ye dil
na jaane shaKH se bichhDe to phir kidhar jae
main yun udas hun imshab ki jaise rang-e-gulab
KHizan ki chap se be-saKHta utar jae
hawa-e-sham-e-judai hai aur gham lahaq
na jaane jism ki diwar kab bikhar jae
agar na shab ka safar ho tere husul ki shart
farogh-e-mahr tera e'tibar mar jae
(1185) Peoples Rate This