Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha Na Sukun Tha Na Qarar Tha
tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha
yahi umr thi mere ham-nashin ki kisi se mujh ko bhi pyar tha
main samajh raha hun teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gham ka tu bhi asir hai isi dukh ka main bhi shikar tha
faqat ek dhun thi ki raat-din isi KHwab-zar mein gum rahen
wo surur aisa surur tha wo KHumar aisa KHumar tha
kabhi lamha-bhar ki bhi guftugu meri us ke sath na ho saki
mujhe fursaten nahin mil sakin wo hawa ke rath par sawar tha
hum ajib tarz ke log the ki hamare aur hi rog the
main KHizan mein us ka tha muntazir use intizar-e-bahaar tha
use paDh ke tum na samajh sake ki meri kitab ke rup mein
koi qarz tha kai sal ka kai rat-jagon ka udhaar tha
(1477) Peoples Rate This