Tark-e-talluq Kar To Chuke Hain Ek Imkan Abhi Baqi Hai
tark-e-talluq kar to chuke hain ek imkan abhi baqi hai
ek mahaz se lauT aae hain ek maidan abhi baqi hai
shayad us ne hansi hansi mein tark-e-wafa ka zikr kiya ho
yunhi si ek KHush-fahmi hai itminan abhi baqi hai
raaten us ke hijr mein ab bhi naza ke aalam mein kaTti hain
dil mein waisi hi wahshat hai tan mein jaan abhi baqi hai
bachpan ke is ghar ke sare kamre maliya-meT hue
jis mein hum khela karte the wo dalan abhi baqi hai
diye munDer pa rakh aate hain hum har sham na jaane kyun
shayad us ke lauT aane ka kuchh imkan abhi baqi hai
ek adalat aur hai jis mein hum tum ek din hazir honge
faisla sun kar KHush mat hona ek mizan abhi baqi hai
(1169) Peoples Rate This