Shahr-e-hawa Mein Jalte Rahna Andeshon Ki ChaukhaT Par
shahr-e-hawa mein jalte rahna andeshon ki chaukhaT par
raat gae tak uljhe rahna be-mafhum KHayalon mein
qasr-e-umr gawahi dega kaise kaise karb sahe
kaisi kaisi rut guzri hai hum par itne salon mein
dosh-e-KHala se KHak-e-zamin par utre to ehsas hua
tare banTne wale rahi paD gae kin janjalon mein
le aai kis qarya-e-shab mein ek jhuTe mahtab ki chah
saya saya bhaTak raha hun be-tanwir ujalon mein
mausam mausam yahi raha gar KHushbu ki tahqir ka rang
sise ki kaliyan phuTengi ab lohe ki Dalon mein
'sajid' ab tak bhugat rahe hain ek be-ant saza ki umr
apna nam likha baiThe the ek din jine walon mein
(1214) Peoples Rate This