Phulon Mein Wo KHushbu Wo Sabahat Nahin Aai
phulon mein wo KHushbu wo sabahat nahin aai
ab tak tere aane ki shahadat nahin aai
mausam tha numaish ka magar aankh na kholi
jaanan tere zaKHmon ko siyasat nahin aai
jo ruh se aazar ki manind lipaT jae
hum par wo ghaDi ai shab-e-wahshat nahin aai
ai dasht-e-anal-haq tere qurban abhi tak
wo manzil izhaar-e-sadaqat nahin aai
hum log ki hain maon se bichhDe hue bachche
hisse mein kisi ke bhi mohabbat nahin aai
hum ne to bahut harf teri madh mein soche
afsos ki sunwai ki naubat nahin aai
larze bhi nahin shahr ke hassas dar-o-baam
dil rakh hue phir bhi qayamat nahin aai
'sajid' wo sahar jis ke liye raat bhi roi
aai to sahi hasb-e-zarurat nahin aai
(1353) Peoples Rate This