Na Guman Maut Ka Hai Na KHayal Zindagi Ka
na guman maut ka hai na KHayal zindagi ka
so ye haal in dinon hai mere dil ki be-kasi ka
main shikasta baam o dar mein jise ja ke DhunDta tha
koi yaad thi kisi ki koi nam tha kisi ka
main hawaon se hirasan wo ghuTan se dil-girafta
main charagh tirgi ka wo gulab raushni ka
abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon
kahin rog ban na jae yahi sath do ghaDi ka
koi shahr aa raha hai to ye KHauf aa raha hai
koi jaane kab utar le ki bharosa kya kisi ka
koi muKHtalif nahin hai ye dhuan ye raegani
ki jo haal shahr ka hai wahi apni shairi ka
(1227) Peoples Rate This