Mujhse MuKHlis Tha Na Waqif Mere Jazbaat Se Tha
mujh se muKHlis tha na waqif mere jazbaat se tha
us ka rishta to faqat apne mafadat se tha
ab jo bichhDa hai to kya roen judai pe teri
yahi andesha hamein pahli mulaqat se tha
dil ke bujhne ka hawaon se gila kya karna
ye diya naza ke aalam mein to kal raat se tha
markaz-e-shahr mein rahne pe musir thi KHilqat
aur main wabasta tere dil ke mazafat se tha
main KHarabon ka makin aur talluq mera
tere nate kabhi KHwabon ke mahallat se tha
lab-kushai pe khula us ke suKHan se iflas
kitna aarasta wo atlas-o-banat se tha
(1678) Peoples Rate This