Mujhe Wo Kunj-e-tanhai Se AaKHir Kab Nikalega
mujhe wo kunj-e-tanhai se aaKHir kab nikalega
akele-pan ka ye ehsas mujh ko mar Dalega
kisi ko kya paDi hai meri KHatir KHud ko zahmat de
pareshan hain sabhi kaise koi mujh ko sambhaalega
abhi tariKH nami ek jadugar ko aana hai
jo zinda shahr aur ajsam ko patthar mein Dhaalega
bas agle moD par manzil teri aane hi wali hai
mere ai ham-safar tu kitna mera dukh baTa lega
sharik-e-ranj kya karna use taklif kya deni
ki jitni der baiThega wahi baaten nikalega
riha kar de qafas ki qaid se ghayal parinde ko
kisi ke dard ko is dil mein kitne sal palega
(1175) Peoples Rate This