Muhtaj Ham-safar Ki Masafat Na Thi Meri
muhtaj ham-safar ki masafat na thi meri
sab sath the kisi se rifaqat na thi meri
haq kis se mangta ki makinon ke sath sath
diwar-o-baam-o-dar ko zarurat na thi meri
sach bol ke bhi dekh liya un ke samne
lekin unhen pasand sadaqat na thi meri
main jin pe mar miTa tha wo kaghaz ke phul the
rasmi mukalme the mohabbat na thi meri
jo dusron ke dukh the wahi mere dukh bhi the
kuchh aisi muKHtalif bhi hikayat na thi meri
bas kuchh usul the jo ba-har-haal the aziz
jaanam kisi se warna adawat na thi meri
(1022) Peoples Rate This