Mera Hai Kaun Dushman Meri Chahat Kaun Rakhta Hai
mera hai kaun dushman meri chahat kaun rakhta hai
isi par sochte rahne ki fursat kaun rakhta hai
makinon ke talluq hi se yaad aati hai har basti
wagarna sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhta hai
nahin hai nirKH koi mere in ashaar-e-taza ka
ye mere KHwab hain KHwabon ki qimat kaun rakhta hai
dar-e-KHema khula rakkha hai gul kar ke diya hum ne
so izn-e-am hai lo shauq-e-ruKHsat kaun rakhta hai
mare dushman ka qad is bhiD mein mujh se to uncha ho
yahi mein DhunDhta hun aisi qamat kaun rakhta hai
hamare shahr ki raunaq hai kuchh mashhur logon se
magar sab jaante hain kaisi shohrat kaun rakhta hai
(1334) Peoples Rate This