Kisi Ko Humse Hain Chand Shikwe Kisi Ko Behad Shikayaten Hain

kisi ko hum se hain chand shikwe kisi ko behad shikayaten hain

hamare hisse mein sirf apni safaiyan hain wazahaten hain

qadam qadam par badal rahe hain musafiron ki talab ke raste

hawaon jaisi mohabbaten hain sadaon jaisi rifaqaten hain

kisi ka maqruz main nahin par mere gareban pe hath sab ke

koi meri chahaton ka dushman kisi ko darkar chahaten hain

teri judai ke kitne suraj ufuq pe Dube magar abhi tak

KHalish hai sine mein pahle din si lahu main waisi hi wahshaten hain

meri mohabbat ke raaz-dan ne ye kah ke lauTa diya mera KHat

ki bhigi bhigi si aansuon mein tamam gunjalak ibaraten hain

main dusron ki KHushi ki KHatir ghubar ban kar bikhar gaya hun

magar kisi ne ye haq na mana ki meri bhi kuchh zaruraten hain

(1364) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ko Humse Hain Chand Shikwe Kisi Ko Behad Shikayaten Hain In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Kisi Ko Humse Hain Chand Shikwe Kisi Ko Behad Shikayaten Hain is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Kisi Ko Humse Hain Chand Shikwe Kisi Ko Behad Shikayaten Hain for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Kisi Ko Humse Hain Chand Shikwe Kisi Ko Behad Shikayaten Hain in PDF.