Kaha Din Ko Bhi Ye Ghar Kis Liye Viran Rahta Hai
kaha din ko bhi ye ghar kis liye viran rahta hai
yahan kya hum sa koi be-sar-o-saman rahta hai
dar-o-diwar sannaTe ki chadar mein hain KHwabida
bhala aisi jagah zinda koi insan rahta hai
musalsal puchhne par ek chilman se jawab aaya
yahan ek dil-shikasta sahab-e-diwan rahta hai
jhijak kar main ne puchha kya kabhi bahar nahin aata
jawab aaya use KHalwat mein itminan rahta hai
kaha kya us ke rishta-dar bhi milne nahin aate
jawab aaya ye sahra raat-din sunsan rahta hai
kaha koi to hoga us ke dukh-sukh banTne wala
jawab aaya nahin KHali ye ghar ye lawn rahta hai
kaha is ghar ke aangan mein hain kuchh phulon ke paude bhi
jawab aaya ki KHali phir bhi har gul-dan rahta hai
kaha kya is mohalle mein nahin pursan-e-haal us ka
jawab aaya KHayal us ka mujhe har aan rahta hai
KHuda ka shukr hai hum ek faza mein sans lete hain
agar milte nahin itna to itminan rahta hai
(1142) Peoples Rate This