Kabhi Tu Ne KHud Bhi Socha Ki Ye Pyas Hai To Kyun Hai
kabhi tu ne KHud bhi socha ki ye pyas hai to kyun hai
tujhe pa ke bhi mera dil jo udas hai to kyun hai
mujhe kyun aziz-tar hai ye dhuan dhuan sa mausam
ye hawa-e-sham-e-hijran mujhe ras hai to kyun hai
tujhe kho ke sochta hun mere daman-e-talab mein
koi KHwab hai to kyun hai koi aas hai to kyun hai
main ujaD ke bhi hun tera tu bichhaD ke bhi hai mera
ye yaqin hai to kyun hai ye qayas hai to kyun hai
mere tan barahna-dushman isi gham mein ghul rahe hain
ki mere badan pe salim ye libas hai to kyun hai
kabhi puchh us ke dil se ki ye KHush-mizaj shair
bahut apni shairi mein jo udas hai to kyun hai
tera kis ne dil bujhaya mere 'eatibar-sajid'
ye charagh-e-hijr ab tak tere pas hai to kyun hai
(1370) Peoples Rate This