Ghar Ki Dahliz Se Bazar Mein Mat Aa Jaana

ghar ki dahliz se bazar mein mat aa jaana

tum kisi chashm-e-KHaridar mein mat aa jaana

KHak uDana inhin galiyon mein bhala lagta hai

chalte phirte kisi darbar mein mat aa jaana

yunhi KHushbu ki tarah phailte rahna har su

tum kisi dam-e-talabgar mein mat aa jaana

dur sahil pe khaDe rah ke tamasha karna

kisi ummid ke manjdhaar mein mat aa jaana

achchhe lagte ho ki KHud-sar nahin KHuddar ho tum

han simaT ke but-e-pindar mein mat aa jaana

chand kahta hun to matlab na ghalat lena tum

raat ko rauzan-e-diwar mein mat aa jaana

(1056) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Ki Dahliz Se Bazar Mein Mat Aa Jaana In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Ghar Ki Dahliz Se Bazar Mein Mat Aa Jaana is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Ghar Ki Dahliz Se Bazar Mein Mat Aa Jaana for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Ghar Ki Dahliz Se Bazar Mein Mat Aa Jaana in PDF.