DhunDte Kya Ho In Aankhon Mein Kahani Meri
DhunDte kya ho in aankhon mein kahani meri
KHud mein gum rahna to aadat hai purani meri
bhiD mein bhi tumhein mil jaunga aasani se
khoya khoya hua rahna hai nishani meri
main ne ek bar kaha tha ki bahut pyasa hun
tab se mashhur hui tishna-dahani meri
yahi diwar-o-dar-o-baam the mere hamraaz
inhi galiyon mein bhaTakti thi jawani meri
tu bhi is shahr ka basi hai to dil se lag ja
tujh se wabasta hai ek yaad purani meri
karbala dasht-e-mohabbat ko bana rakkha hai
kya ghazal-goi hai kya marsiya-KHwani meri
dhime lahje ka suKHnawar hun na sahba hun na josh
main kahan aur kahan shoala-bayani meri
(1850) Peoples Rate This