DhaDkan DhaDkan Yaadon Ki Baraat Akela Kamra
dhaDkan dhaDkan yaadon ki baraat akela kamra
main aur mere zaKHmi ehsasat akela kamra
gae dinon ki taswiron ke bujhte hue nuqush
taza tark-e-talluq ke sadmat akela kamra
dosh-e-hawa par uDne wale KHizan ke aaKHiri patte
apni akeli jaan gham-e-haalat akela kamra
aaKHiri shab ke chand se karna baalkani mein baaten
us ke shahr mein hotel ki ye raat akela kamra
meri sisakti aawazon se gunjti hain diwaren
sunta hai din raat mare naghmat akela kamra
sab saman baham hain 'sajid' likhne likhane ke
KHun-e-jigar aur aansu dil ki dawat akela kamra
(1388) Peoples Rate This