BhiD Hai Bar-sar-e-bazar Kahin Aur Chalen
bhiD hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen
aa mere dil mere gham-KHwar kahin aur chalen
koi khiDki nahin khulti kisi baghiche mein
sans lena bhi hai dushwar kahin aur chalen
tu bhi maghmum hai main bhi hun bahut afsurda
donon is dukh se hain do-chaar kahin aur chalen
DhunDte hain koi sarsabz kushada si faza
waqt ki dhund ke us par kahin aur chalen
ye jo phulon se bhara shahr hua karta tha
us ke manzar hain dil-azar kahin aur chalen
aise hangama-e-mahshar mein to dam ghuTta hai
baaten kuchh karni hain is bar kahin aur chalen
(1454) Peoples Rate This