Aankhon Se Ayan ZaKHm Ki Gahrai To Ab Hai
aankhon se ayan zaKHm ki gahrai to ab hai
ab aa bhi chuko waqt-e-masihai to ab hai
pahle gham-e-furqat ke ye tewar to nahin the
rag rag mein utarti hui tanhai to ab hai
tari hai tamannaon pe sakraat ka aalam
har sans rifaqat ki tamannai to ab hai
kal tak meri wahshat se faqat tum hi the aagah
har gam pe andesha-e-ruswai to ab hai
kya jaane mahakti hui subhon mein koi dil
shamon mein kisi dard ki ranai to ab hai
dil-soz ye tare hain to jaan-soz ye mahtab
dar-asal shab-e-anjuman-arai to ab hai
saf-basta hain har moD pe kuchh sang-ba-kaf log
ai zaKHm-e-hunar lutf-e-pazirai to ab hai
(1080) Peoples Rate This