Shor Ab Aalam Mein Hai Us Shobada-pardaz Ka
shor ab aalam mein hai us shobada-pardaz ka
charKH bhi ek shobada hai jis sarapa naz ka
sada-rui qahr thi aur us pe ab aaya hai KHat
dekhiye anjam kya hota hai is aaghaz ka
tir howe jis ki mizhgan aur ho abru kaman
dil na ho qurban kyun kar aise tir-andaz ka
us ke shahin-e-nigah ko tair-e-dil ke liye
panja-e-mizhgan nahin goya hai chungul-baz ka
'aish' mujh ko be-par-o-baali par-e-parwaz hai
main nahin mohtaj kuchh baal-o-par-e-parwaz ka
(849) Peoples Rate This