Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e77b627241e5533b5c8ee99435409dcb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phul Allah Ne Banae Hain Mahakne Ke Liye - Aish Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Phul Allah Ne Banae Hain Mahakne Ke Liye

phul allah ne banae hain mahakne ke liye

aur bulbul ko banaya hai chahakne ke liye

aatish-e-gham se banaya hai mere sine mein

dil ko angare ki manind dahakne ke liye

bache kam-baKHt wo dil kyunki bhala jis dil ke

mustaid ho nigah-e-shoKH uchakne ke liye

rind kahte hain ki KHaliq ne kiya hai paida

raat din naseh-e-behuda ko bakne ke liye

rahm ai chashm banaya hai kahin kya dil ko

qatra-e-ashk ho mizhgan se Tapakne ke liye

shaiKH ko rindon se kah do ki nazar mein rakkhen

kyunki ab DhunDe hai qabu wo khisakne ke liye

'aish' batla to bana hai dil-e-hairan tera

misl-e-aina ye kis shakl ke takne ke liye

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phul Allah Ne Banae Hain Mahakne Ke Liye In English By Famous Poet Aish Dehlvi. Phul Allah Ne Banae Hain Mahakne Ke Liye is written by Aish Dehlvi. Read famous Poem Phul Allah Ne Banae Hain Mahakne Ke Liye for youth and Student by Aish Dehlvi. Free Download Phul Allah Ne Banae Hain Mahakne Ke Liye in PDF.