Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_abecd5cdd2caec48a51ecd607ca06e5a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Hue Aashiq Us Shakar-lab Ke - Aish Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Kya Hue Aashiq Us Shakar-lab Ke

kya hue aashiq us shakar-lab ke

tane sahne paDe hamein sab ke

bhulna mat buton ki yari par

hain ye bad-kesh apne matlab ke

qais o farhad chal base afsos

the wo kam-baKHt apne mashrab ke

shaiKHiyan shaiKH ji ki denge dikha

mil gae wo agar kahin ab ke

yaad rakhna kabhi na bachiyega

mil gae aap waqt gar shab ke

us mein KHush howen aap ya na-KHush

yar to hain suna usi Dhab ke

yar bin 'aish' mai-kashi tauba

hai ye apne KHilaf mazhab ke

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Hue Aashiq Us Shakar-lab Ke In English By Famous Poet Aish Dehlvi. Kya Hue Aashiq Us Shakar-lab Ke is written by Aish Dehlvi. Read famous Poem Kya Hue Aashiq Us Shakar-lab Ke for youth and Student by Aish Dehlvi. Free Download Kya Hue Aashiq Us Shakar-lab Ke in PDF.