Kisi Ki Nek Ho Ya Bad Jahan Mein KHu Nahin Chhupti
kisi ki nek ho ya bad jahan mein KHu nahin chhupti
chhupae lakh KHushbu ya koi badbu nahin chhupti
zaban par jab talak aati nahin albatta chhupti hai
zaban par jab ki aai baat ai gul-ru nahin chhupti
yahan to tujh ko sau parde lage hain ahl-e-taqwa se
bhala rindon se kyun ai duKHtar-e-raz tu nahin chhupti
saliqa kya kare is mein koi betabi-e-jaan ko
chhupao sau tarah jab dil ho be-qabu nahin chhupti
hijab us mein kahan hai be-hijabi jis ki aadat ho
chhupa kar lakh piwe gar koi daru nahin chhupti
ruKH-e-raushan ko tum kyun chhoD kar zulfen chhupate ho
chamak ruKH ki chhupae se tah-e-gesu nahin chhupti
ye rish o jubba o dastar zahid ki banawaT hai
tabiat be-takalluf jis ki ho yaksu nahin chhupti
kalam apna abas tu ahl-e-danish se chhupata hai
jahan mein 'aish' tarz-e-shair-e-KHush-go nahin chhupti
(794) Peoples Rate This